Apni Nazron Se Jo Gir Jaye Woh Chehra Na Bana
Apni Nazron Se Jo Gir Jaye Woh Chehra Na Bana.
Mujhko lamha-e-fursat ka khilona na bana,
Hazaron rastay hain ajnabi ho jaanay kay,
Tark karna hai taaluq to bahana na bana,
Jhoot ehsaas ki qandeel ko bujha deta hai,
Mujhko insan samajh khud ko farishta na bana,
Apni yaadain to meray dil main basi rehnay day,
Is mehektay huay gulzar ko sehra na bana,
Thak gayi hain meray ehsas ki aankhain,
Naqsh-e-deewar par ab koi afsana na bana.