EID Ab Kay Baras Nahi Aai ..

Hai Wahi Aasmaan , Zameen Wahi
Mah -o- Anjum Usi Tarah Roushan
Keh-Kashaan Ab Bhi Muskurati Hay
Phool Kaleyaan Mehak Rahi Hain Yoon Hi
Baad Muddat Kay Saaray Pardesi
Apnay Apnay Gharoo Ko Aye Hain
Har Taraf Rang -O- Bou Ka Mela Hay
Or Tanha Main Apnay Kamray Main
Kab Say Betha Hoon Or Soch Raha Hoon
Jaanay Kia Baat Hay Keh Ghar Main Meray
Jo Guzishta Baras Thi Ronaq
Ab Wo Kahi Bhi Nazar Nahi Aati
Hai Fiza Main Ak Ajeeb Sa San-nata
Haan Faqat Ak Teray Chalay Janay Say
Aisa Mehsoos Ho Raha Hay Mujhay
Rutt Khushi Ki Har Taraf Tu Aai Hay
Sirf Chottay Say Meray Aangan Main
EID Ab Kay Baras Nahi Aai ..
Powered by Blogger.