Ghum ki baarish ne bhi teray naqsh ko dhoya nahi


Ghum ki baarish ne bhi teray naqsh ko dhoya nahi
Tu ne ne mujh ko kho diya, mein ne tujhay khoya nahi

Neend ka halka gulaabi sa khumaar ankhon mein tha
yun laga jaisay woh shab ko dairr tak soya nahi tha

Har taraf deewar o dar aur unn mein ankhon k hujoom
Keh sakay jo dil ki halat woh lab giya nahi

Juram ADAM ne kiya aur nasal e adam ko saza
Kat-ta hon zindagi bhar mein ne jo boya nahi

Janta hon aik aisay shakhs ko mein bhi *MUNIR*
Ghum se pathar hogeya lakin kabhie roya nahi
Powered by Blogger.