her simt gum-e-yar ke
her simt gum-e-yar ke toofan hain mohsin.
mut pooch k hum kitny pareshan hen mohsin.
her chehra nazar aata he tusweer ki soorat,
hum shehar ke logon se bhi unjan hen mohsin.
jis shehar-e-mohabat ny humen loot liya he,
uss shehar se ab kooch ke imkaan hen mohsin.
kushti abhi umed ki doobi to nahi he,
phir kiyon teri ankhon main ye tofan hen mohsin.
kar in ka adab rukh inhen seeny se laga kar,
ye dard ye tunhaiyan mehman hen mohsin.