Azaab yeh bhi kisi aur par nahi aaya
Azaab yeh bhi kisi aur par nahi aaya
K ek umr chale aur ghar nahi aaya
Us ek khaab ki hasrat meN jal bujhi aaNkheN
Wo ek khaab K ab tak nazer nahi aaya
KareN to kis se kareN naarasaiyoN ka gila
Safar tamaam huaa hum-safar nahi aaya
DiloN ki bat badan ki zabaaN se kah dete
Ye chaahte the magar dil idhar nahi aaya
Ajib hi tha mere daur E gumrahi ka rafiq
BichhaaR gaya to kabhi laut kar nahi aaya
Harim-e-lafz O ma’aani se nisbateN bhi rahiN
Magar saliqa-e-arz-e-hunar nahii aaya..