Aik sadma sa hua ashk jo is baar giray
Aik sadma sa hua ashk jo is baar giray,
Ghar k aansu thay magr Bar'sar-e-bazaar giray.
Ham hi aahon se nahi haar k nachaar giray,
Aandhiyaan jab b chali hain kai Ashjaar giray.
Phir wohi khwab wo toofaan wohi 2 aawazein,
jaisy dar pehly giray baad me deevaar giray.
Jaisy nobat hi muaalij ki nahi aye koi,
jaisy rastay me hi dam torr k beemaar giray.
Sirf main ne hi tu gajray nahi bhejay us ko,
Mere aangan me b phoolon k kai haar giray.
Aik tum hi nahi phisly ho yahan aa k "ZAFAR"
Barish-e-zar me kai sahib-e-kirdaar giray.