Abr-e-baaran k iraaday bhi

 
Abr-e-baaran k iraaday bhi pur-asraar se hain,
Aaj barsay gi ghatta khul k ye aasaar say hain.
Log atay hain thehartay hain chalay jatay hain,
Apnay halaat bhi ujrhay huay bazaar say hain.
Wo agar chahay tou day sharf-e-mulaqat mujhay,
Sb umeeden meri waabesta meray yaar say hain.
Ye zruri to nahin jeet musarrat bakhshay,
Aisi khushian b hain milti jo sirf haar se hain.
Sar ba-kuf ho k tere koochay ko chal nikla hun,
Azm tou pakkay,mgar rastay dushwaar se hain.

Asma Lahore

Powered by Blogger.