Guloon mein rang bhare
Guloon mein rang bhare, baad-e-naubahaar chale
chale be aao k gulshan kaa karobaar chale.
Qaffas udaas ha yaro, sabaa se kuchh to kaho
kahien to bahr-e-Khudaa aaj zikr-e-yaar chale.
kabi to subha tere kunj-e-lab se ho AaGaaz
kabi to shab sar-e-kaakul se Mushkabaar chale.
Bandaa ha dard kaa rishtaa, ye dil Gariib sahi
Tumhaare naam pe aayengy Gam_gusaar chale.
jo ham pe guzari so guzari magar
shab-e-hijraan
hamaare ashk teri aaqabat sanwaar chale.
Huzoor-e-yaar hoi daftar-e-janoon ki talab
Girah mein ly ke garebaan ka taar taar chale.
Maqaam 'FAIZ' koi raah mein jachaa hi nahi
jo kuu-e-yaar se nikale to suu-e-daar chale .
Asma Lahore