Hum ko bhi chupa ay shab-e-gham
Hum ko bhi chupa ay shab-e-gham apne paron mein
Hum log bhi shamil hain tere humsafaron mein
Ay deeda dari main tere maiyaar ka mujrim
Phir le ke chala apne gohar kam nazron mein
Badal to baraste hain magar banjh zameen par
Suraj to ubharta hai magar bebasaron mein
Mumkon ho to har aik dar-o-deewar pe likh doon
Pathar na chupaya karo sheeshe ke gharon mein
Marham ki jagah bant’te phirte hain naye zakhm
Yeh rasam bhi nikli hai ajab charah garon mein
Is ghar ke muhafiz bhi khabar dar hain kitne?
Sorakh to chatt mein huye,taale hain daron mein
Ay dost tera dard kahan rahat-e-jaan tha?
Tu hum ko ghaneemat samajh aashufta saron mein
Is sheher mein rehta hoon is andaz se Mohsin
Jaise koi funkaar phire be-hunaron mein!