Ujar ujar ke sanwarti hai
Ujar ujar ke sanwarti hai teray hijr ki shaam
Na pooch kaisay guzarti hai teray hijr ki shaam
Yeh barg barg udaasi bikhar rahi hai meri
Keh shakh shakh utarti hai teray hijr ki shaam
Ujar ghar mein koye chand kab utarta hai ?
Sawal mujh se ye karti hai teray hijr ki shaam
Meray safar mein ek aisa bhi morr aata hai
Jab apnay aap se darti hai teray hijr ki shaam
Jaha jaha bhi milen teri qurbaton ke nishan
Waha waha se ubarti hai teray hijr ki shaam
Yeh hadsa tuje sayed udas kar de ga
Ke mere sath he marti hai teray hijr ki shaam,,,,,